Shaadi ki pahli Raat: main tumhen voh Pyar Nahi de sakuga jiski Tum hakdar Ho

Shadi ki pehli raat shohar ne is ka ghonghat utha kar kaha: suno! yeh shadi ka aik zabardasti ka faisla tha. mein kisi aur ko chahtatha hoon. magar mere ghar walay raazi nahi hue. abba ko dil ki takleef thi is liye un ke agay larr Nahin saka. meri haan aik majboori thi. shayad mein tumhe zindagi mein woh pyar nahi day sakoo ga. jis ki tum haqdaar ho.

yeh keh kar woh اٹھااور dosray kamray mein chala gaya. woh gum sum baithi khaali kamrah dekh rahi thi. mann mein aaya woh bhi cheekh cheekh kar bol day. aik tum hi kya! mein bhi kisi ko dil wa jan se chahti thi. zindagi guzaarna chahti thi is ke sath. ghareeb tha. par mehnati thaa. bas ghar walon ko pasand nahi aaya. mein bhi haar gai. aur tum se shadi hogayi .

tum mard to keh satke ho hum aurtain kaisay kahin. jazbaat thay ke lafzon ka perhan chaah rahay thay. jaisay keh rahay hon yeh chup ki riwayat toar dun aaj. toar dun. magar halaq tak atay atay lafzon ne ashkon ki shakal le li. aawaz dam toar gayi. woh riwayat nah toar saki.

Is Kahani se hamen kya sabak Milta hai aapko kya sabak Mila Hai is Kahani Ke niche comment mein zarur bataiyega.

Visited 436 times, 1 visit(s) today

Leave a Comment